Ghum Ki Manjdhar Lyrics in voice of Nabeel Shaukat Ali from Pakistani TV drama / serial ‘Manjdhar aka Manjhdaar’ is directed by Syed Muhammad Khurram & written by Nasreen Nizami.
Artists: Nabeel Shaukat Ali
Song Name: Ghum Ki Manjhdar
Album: Manjhdar Drama OST
Lyrics Writer: Nasreen Nizami
Directer: Syed Muhammad Khurram
Producer: TNI Productions
Ghum Ki Manjhdar Lyrics – Nabeel Shaukat Ali
Zakhm lagaye koi
Koi aake zakhmon ke chhede,
Kya main bataun rabba
Jitni saansein utne bakhere.
Aye khuda ye zindagani
Tune kyun aisi banayi.
Dhool mein lipti huyi hai
Ayine ki parsaayi.
Saans ke paar hai
Jo mera yaar hai
Zindagi ghum nahi
Ghum ki manjhdar hai,
Ghum ki manjhdar hai (x2).
Dard ke jalte alaao
Aur tanhayi ke ghaao,
De rahe hain yun dilasa
Jo hua wo bhool jao.
Mere maula kya bataun
Maine kaise din guzare
Char din ki zindagi mein
Maine kitne saans haare.
Na sune fariyaad koi
Na sune koi duhayi.
Saans ke paar hai
Jo mera yaar hai
Zindagi gham nahi
Gham ki manjhdar hai (x3).
Uljhano mein har nafas hai
Zindagi bhi ik kafas hai,
Saans ke ye aana jaana
Sirf jeene ki hawas hai.
Ho gaye hain darbadar hum
Just-joon mein apni aise
Aashiyana apne tinke dhoondta phirta ho jaise.
Bewafai chahahton mein
Kismaton mein na rasayi.
Saans ke paar hai
Jo mera yaar hai
Zindagi ghum nahi
Ghum ki manjhdar hai (x3).